main ek andhe kuen ka qaidi kise milunga 
kahan mujhe DhunDhne chali hai najat meri 
KHajalat-e-darguzar se lab par dua na Thahri 
dar-e-samaat se lauT aai hai raat meri 
main kis ke qaul o qarar se apne ashk pochhun 
mukar gai hai KHud apne wadon se zat meri 
hai tishnagi ka naya hi ek zaiqa labon par 
sarab andar sarab gardan hayat meri 
tanab-e-KHema ke TuTne tak qayam mera 
ki shaKH-e-ahu pe aaj bhi hai baraat meri
        Ghazal
Main ek andhe kuen ka qaidi kise milunga
Mughni Tabassum

