main DhunD lun agar us ka koi nishan dekhun
buland hota faza mein kahin dhuan dekhun
abas hai sochna la-intiha ke bare mein
nigahen kyun na jhuka lun jo aasman dekhun
bahut qadim hai matruk to nahin lekin
hawa jo ret pe likhti hai wo zaban dekhun
hai ek umr se KHwahish ki dur ja ke kahin
main KHud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun
KHayal tak na rahe raegan guzarne ka
agar 'malal' in aankhon ko mehrban dekhun
Ghazal
Main DhunD lun agar us ka koi nishan dekhun
Sagheer Malal