main chhupa rahunga nigah-o-zaKHm ki oT mein
kisi aur shaKHs se dil laga ke bhi dekhna
sar-e-shaKH-e-dil koi zaKHm hai ki gulab hai
meri jaan ki rag ke qarib aa ke bhi dekhna
koi tara chupke se rakhna us ki hatheli par
wo udas hai to use hansa ke bhi dekhna
wo jo sham teri palak pe aa ke Thahr gai
meri raushni ki hadon mein la ke bhi dekhna
baDi chiz hai ye supurdagi ka mahin pal
na samajh sako to mujhe ganwa ke bhi dekhna
Ghazal
Main chhupa rahunga nigah-o-zaKHm ki oT mein
Atiiqullah