main bhi gum mazi mein tha
dariya bhi jaldi mein tha
ek bala ka shor-o-ghul
meri KHamoshi mein tha
bhar aain us ki aankhen
phir dariya kashti mein tha
ek hi mausam tari kyun
dil ki phulwari mein tha
sahra sahra bhaTka main
wo dil ki basti mein tha
lamha lamha rakh hua
main bhi kab jaldi mein tha?

Ghazal
Main bhi gum mazi mein tha
Prakhar Malviya Kanha