اردو हिंदी
Main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra | Shaahi Shayari
main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra

Ghazal

Main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra

Iftikhar Mughal

;

main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra
ya Thahar mujh mein ya KHud mein mujhe Thahra sahra

ruh mein lahr banate hain teri lahron se
aur kuchh der mere samne lahra sahra

aankh jhapki thi bas ek lamhe ko aur is ke baad
main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra

apni hasti ko bikharne se bacha lena tum
mujh pe mat jaana meri jaan main Thahra sahra

mere lahje ka samundar hi nahin sukha hai
luT gaya teri hansi ka bhi sunahra sahra