main baat kaun se paira-e-bayan mein karun
jo sochta hun use kis zaban mein likkhun
katar diye hain zamane ne pankh KHwabon ke
bhara hai saghar-e-hasrat mein aarzuon ka KHun
nahin hai kushta-e-KHuban ka KHun-baha koi
ai ahl-e-shauq na khao fareb-e-harf-e-fusun
kabhi hai chand ka haala naqab-e-lala kabhi
anile rang dikhati hai zulf-e-ghaaliya-gun
zimam-e-rahila-e-dil KHirad ke hath mein do
ki marti hai hawas is nawah mein shab-KHun
ab is ko KHana-KHarabi kaho ki mamuri
zamin mein sath KHazane ke dhans gaya qarun
banu-tamim ho tum mein salama-bin-jindal
bila-jawaz tumhaari sana main kaise karun
parindgan-e-bayaban karen wasila jise
main us amin ke KHirman ke KHosha-chinon mein hun
shahid-e-ilm bhi hun zinda-e-mohabbat bhi
ba-faiz-e-zauq-e-salim o tabiat-e-mauzun
sharik-e-zumra-e-mehnat-kashan hai shaer bhi
bahae-sadr-e-nafas KHun-chakan hai ek mazmun
anaDi-pan na kaho meri sada-lauhi ko
hun nau-niyaz magar kohna-mashq jazb-o-junun
bala-e-jabr bhi hai pa-e-iKHtiyar bhi hai
qusur-war hun main ya sada-e-kun-fayakun
wara-e-farra-e-farhang dekho rang-e-suKHan
abul-kalam nahin main abul-maani hun
Ghazal
Main baat kaun se paira-e-bayan mein karun
Abdul Aziz Khalid