main awam mein hun lekin nahin KHu-e-amiyana
na amal KHushamdana na suKHan KHushamdana
teri aur zindagi hai meri aur zindagi hai
main bulandiyon ka juya to asir-e-ashiyana
mujhe ras hi na aai kabhi na-qishon ki sohbat
mere jism-e-na-tawan mein nahin ruh-e-tajirana
mere KHizr ke qadam hain mujhe mashal-e-manazil
mere dida-e-talab mein hai nigah-e-mujrimana
gham-o-ranj ka chhupana bhi hai kar-e-zarf lekin
hai KHushi ko zabt karna rah-o-rasm-e-aqilana
teri tamkanat agar hai kisi dusre ke bal par
ye chalan hai baghiyana ye qadam hai mujrimana
mujhe KHizr-e-nau ki hajat nahin rah-e-bandagi mein
mere maslak-e-wafa mein ye rawish hai kafirana
Ghazal
Main awam mein hun lekin nahin KHu-e-amiyana
Ehsan Danish