main apni jang mein tan-e-tanha sharik tha
dushman ke sath sara zamana sharik tha
injir o shir banTta phirta hai shahr mein
kal tak jo meri nan-e-jawin ka sharik tha
mere KHilaf hai wo gawahi mein pesh pesh
mansuba-bandiyon mein jo mera sharik tha
mere qisas ka bhi hua hai wo muddai
jo mere qatl mein pas-e-parda sharik tha
kar-e-jahan mein bhi wahi mera sharik hai
dukh-dard mein jo lamha-ba-lamha sharik tha
kashti ke Dubne ka mujhe gham nahin magar
maujon ki saz-baz mein dariya sharik tha
had ho gai thi hum se mohabbat mein kufr ki
jaise KHuda-na-KHwasta wo la-sharik tha
'tishna' ye tujh ko sang-e-malamat usi ke hain
pindar-e-ishq mein jo ana ka sharik tha
Ghazal
Main apni jang mein tan-e-tanha sharik tha
Alamtaab Tishna