main apne ishq ko KHush-e-ehtimam karta hua
maqam-e-shukr pe pahuncha kalam karta hua
ye gard-baad salamat guzarna chahta hai
mere charagh pe wahshat tamam karta hua
guzar raha hun kisi qariya-e-malamat se
qadim silsila-dari ko aam karta hua
to phir ye kaun hai nisfunnahaar ke hangam
qayam o raqs ki haalat mein sham karta hua
kabhi to khul ke bata ai meri riyazat-e-marg
main kaisa lagta hun fikr-e-dawam karta hua
zamanon baad bhi dasht-e-bala mein mera 'husain'
dikhai deta hai hujjat tamam karta hua
Ghazal
Main apne ishq ko KHush-e-ehtimam karta hua
Abbas Tabish