اردو हिंदी
Main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi | Shaahi Shayari
main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi

Ghazal

Main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi

Lutf-ur-rahman

;

main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi
ghazal ke hath mein ek saz de raha hun abhi

ek ek harf meri tishnagi ka zamin hai
ek ek harf ko ejaz de raha hun abhi

hawa ki zad pe koi barg-e-zard hai kab se
so us ke soz ko ek saz de raha hun abhi

main dar-ba-dar hun abhi apni justuju mein bahut
main apne lahje ko andaz de raha hun abhi

thama ke hath mein un ke fazilaton ki sanad
main jahilon ko bhi eazaz de raha hun abhi

ajab tilism hai aks-e-niyaz o naqsh-e-hawas
main rabt-e-shauq ko aaghaz de raha hun abhi