main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega
na main likkhun to phir is bebasi ko kaun likhega
bahut masruf hain ahl-e-jahan harza-sarai mein
ab aashob-e-suKHan mein be-hisi ko kaun likkhega
kai sadiyan guzarin manzilon ke khoj mein phirte
to phir mere siwa is gumrahi ko kaun likkhega
hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen
yahan is haw-hu mein KHamushi ko kaun likkhega
use fursat nahin sahil, samundar, mauj likhne se
pareshan hun meri tishna-labi ko kaun likkhega
'hijab' is shahr-e-na-pursan mein sab jhagDa ana ka hai
surur-e-KHud-parasti mein KHudi ko kaun likkhega
Ghazal
Main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega
Hijab Abbasi