main aise moD par apni kahani chhoD aaya hun
kisi ki aankh mein pani hi pani chhoD aaya hun
abhi to us se milne ka bahana aur karna hai
abhi to us ke kamre mein nishani chhoD aaya hun
bas itna soch kar hi mujh ko apne pas tum rakh lo
tumhaare waste main hukmarani chhoD aaya hun
isi KHatir mere chaaron taraf phaila hai sannaTa
kahin main apne lafzon ke maani chhoD aaya hun
'nadim' is gardish-e-aflak ko main chaak samjha to
wahan par zindagi apni banani chhoD aaya hun

Ghazal
Main aise moD par apni kahani chhoD aaya hun
Nadeem Bhabha