اردو हिंदी
Main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun | Shaahi Shayari
main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun

Ghazal

Main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun

Seen Sheen Alam

;

main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun
apne andar ke suKHnawar se alag ho jaun

aaina gard se baatil ki nikal aaega
haq ki taid mein lashkar se alag ho jaun

aasman bhi nahin roega lahu ke aansu
main agar sham ke manzar se alag ho jaun

tapte sahra ki zamin ko bhi zarurat hai meri
lekin ab kaise samundar se alag ho jaun

zalzale itne meri zat mein poshida hain
ye bhi mumkin hai ki mehwar se alag ho jaun

banT lena kabhi taqsim na karna mujh ko
ye na hoga ki barabar se alag ho jaun