mai-KHane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain
hum bhi aankhon ke paimane bhar bhar kar chhalkate hain
main jin ko apna kahta hun kab wo mere kaam aate hain
ye sara sansar hai sapna sab jhuTe rishte-nate hain
tanhai ke bojhal lamhe hum is tarah bitate hain
dil hum ko deta hai tasalli hum dil ko samjhate hain
jiwan ki gutthi ka sulajhna kaam hai ek na-mumkin sa
girhen paDti hi jati hain hum jitna suljhate hain
un ki qismat mein jalna hai kaun un se kahta hai jalen
parwane dipak par aa kar apne-ap jal jate hain
jiwan bita lekin ab tak main na samajh paya ye bhed
bite dinon ki yaad aate hi aansu kyun bhar aate hain
wo jab apna sar Dhakte hain khul jate hain un ke pair
jo apni chadar se ziyaada pair apne phailate hain
hota hai mahsus ye 'ajiz' shayad us ne dastak di
tez hawa ke jhonke jab darwaze se Takraate hain
Ghazal
Mai-KHane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain
Ajiz Matvi