mai-KHana hai bina-e-shar-o-KHair to nahin
ai shaiKH-o-barahman haram-o-dair to nahin
qasid ko tak raha hun bajae jawab-e-KHat
kambaKHt ye na kah de kahin KHair to nahin
apnon ka shikwa kis liye aae zaban par
ahbab ke sitam sitam-e-ghair to nahin
aapas mein kyun hain bar-sar-e-paikar ahl-e-shahr
dekho yahan kahin haram-o-dair to nahin
ai shaiKH sirf shikwa-e-pindar zohd hai
warna mujhe janab se kuchh bair to nahin
mahw-e-KHiram ghuncha-o-gul dekh-bhaal kar
pamali-e-bahaar hai ye sair to nahin
banda-nawaz aap aur izhaar-e-shukriya
'ejaz' aap ka hai koi ghair to nahin
Ghazal
Mai-KHana hai bina-e-shar-o-KHair to nahin
Ejaz Warsi