mai-kade mein jo tere husn ka mazkur hua
sang-e-ghairat se mera shisha-e-dil chur hua
ek to aage hi tha husn par apne nazan
aaina dekh ke wo aur bhi maghrur hua
subh hote hi hua mujh se juda wo mah-ru
roz goya mere haq mein shab-e-dijur hua
tegh mat khinch ki ek jumbish-e-abru bas hai
gar mera qatl hi zalim tujhe manzur hua
az-pae-dagh-e-dil-e-baada-parastan 'bedar'
pumba-e-shisha-e-mai marham-e-kafur hua
Ghazal
Mai-kade mein jo tere husn ka mazkur hua
Meer Mohammadi Bedar