mai-kade mein baiTh kar iman ki parwa na kar
ya use bhi ek do chullu pila diwana kar
muskura de qissa-e-ummid kar de muKHtasar
ya baDha le chal zara si baat ko afsana kar
KHush-mazaqi shart ho jis ke nazare ke liye
us gul-e-KHud-ru ko yarab zinat-e-virana kar
hadisa hai lekin aisa ghair-mamuli nahin
shama par parwana jalne de koi parwana kar
Ghazal
Mai-kade mein baiTh kar iman ki parwa na kar
Hari Chand Akhtar

