mai ho abr o hawa nahin to na ho
dard ho gar dawa nahin to na ho
hum to hain aashna tere zalim
tu agar aashna nahin to na ho
dil hai wabasta tere daman se
dast mera rasa nahin to na ho
hum to teri jafa ke bande hain
tujh mein rasm-e-wafa nahin to na ho
aastan par to gir rahe hain agar
teri majlis mein ja nahin to na ho
hum to hain saf, bad-guman mere
tere dil mein safa nahin to na ho
dil ko iksir haigi teri nigah
hawas-e-kimiya nahin to na ho
hum to hasha nahin kisi se bure
koi hum se bhala nahin to na ho
talib-e-wasl kab talak rahiye
ho to ho jae ya nahin to na ho
'hatim' ab kis ki mujh ko parwa hai
koi mera juz KHuda nahin to na ho
Ghazal
Mai ho abr o hawa nahin to na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim