mahsus jo hota hai ki hum hain bhi nahin bhi
dekho to jo hum aaise hon do chaar kahin bhi
auham ke asrar bhi kuchh kam nahin gahre
chakkar mein bahut aae hain kuchh ahl-e-yaqin bhi
az-roz-e-azal hai ki nahin hai ka hai mahshar
aur is ka jawab aaj bhi han bhi hai nahin bhi
jo baat samajh le wo kahin bhi na milega
ghum aao jidhar chaho chale jao kahin bhi
iqrar bhi inkar bhi par tol raha hai
parwaz se larzan hai meri han bhi nahin bhi
aafaq jhuka aae jahan baiThe hon chup-chap
bas hum se bahut tang falak bhi hai zamin bhi
ta-hadd-e-nazar naqsh-e-qadam bhi nahin milta
har sang se zahir koi rudad-e-jabin bhi
jo naqsh-e-qadam waqt ke hain ret pe ai 'talKH'
kuchh aaise falak par bhi hain kuchh zer-e-zamin bhi
Ghazal
Mahsus jo hota hai ki hum hain bhi nahin bhi
Manmohan Talkh