اردو हिंदी
Mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-KHana hun | Shaahi Shayari
mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-KHana hun

Ghazal

Mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-KHana hun

Karam Haidari

;

mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-KHana hun
main rah-o-rasm-e-mohabbat ka magar diwana hun

main na be-qimat KHazaf hun aur na lal-e-be-baha
main to arbab-e-nazar ke zarf ka paimana hun

meri rag rag mein hai mauj-e-zindagi raqsan magar
ek lab-e-jaan-baKHsh ko tarsa hua paimana hun

hun ba-zahir naqsh kuchh bikhre hue alfaz ka
tum jo ai jaan-e-jahan samjho to ek afsana hun

meri pamali ke charche tum bhi sun loge kabhi
apne gulshan mein hun lekin sabza-e-begana hun

DhunDne niklenge mujh ko ek din ahl-e-wafa
dafn hai ganjina-e-dil jis mein wo virana hun