mahke jab raat-ki-rani to mujhe KHat likhna
choT ubhar aae purani to mujhe KHat likhna
kuchh na kah sakna zabani to mujhe KHat likhna
jab ho ashkon mein rawani to mujhe KHat likhna
chehra paDh leta hun main aate hue mausam ka
koi rut aae suhani to mujhe KHat likhna
chup hai andaz-e-nigarish to koi baat nahin
bol uThen lafz-o-maani to mujhe KHat likhna
main hun lamhon ko kasauTi pe parakhne wala
waqt ho sone ka pani to mujhe KHat likhna
ban ke aa jaunga pankhe ka hasin shahzada
sunna pariyon ki kahani to mujhe KHat likhna
kabhi wade ka hasin phul diya tha tum ne
yaad aae wo nishani to mujhe KHat likhna
phul ke zaKHmon ki taswir tumhein bhejunga
kabhi mausam jo ho dhani to mujhe KHat likhna

Ghazal
Mahke jab raat-ki-rani to mujhe KHat likhna
Mutrib Nizami