mahfuz rahega kya ehsas ka aaina
patthar ke muqabil hai almas ka aaina
ab chehra-e-mazi bhi pahchana nahin jata
yun TuT ke bikhra hai itihas ka aaina
mafhum to mabni hai qari ki basirat par
alfaz se raushan hai qirtas ka aaina
is ahd mein rishton ki be-rang dukanon mein
hire se bhi mahnga hai wishwas ka aaina
is shahr mein yun phaili aazar ki parchhain
har shaKHs ka chehra hai ab yas ka aaina
Ghazal
Mahfuz rahega kya ehsas ka aaina
Anwar Minai