mahak kirdar ki aati rahi hai
sadaqat phul barsati rahi hai
sitaron ne kahi teri kahani
suhani shab tujhe gati rahi
nazar kis zawiye pe ja ke Thahre
qayamat har ada Dhati rahi hai
jahan apna lahu bota raha hun
wo basti mujh se katraati rahi hai
sulagti chiKHti pyasi zamin par
ghaTa ghanghor bhi chhati rahi hai
jo mere samne har dam raha hai
usi ki yaad bhi aati rahi hai
'hayat' us samt se aati hawa bhi
payam-e-zindagi lati rahi hai
Ghazal
Mahak kirdar ki aati rahi hai
Hayat Lakhnavi