mah-ruKHan ki jo mehrbani hai
ye madad mujh pe aasmani hai
rashk sin us ke saf chehre ke
chashm par aaine ki pani hai
dam mein bul-hawas ke aaya nain
kyun ki ye baz aashyani hai
charb hai shama par jamal us ka
shama ki raushni zabani hai
us ke ruKHsar dekh jita hun
aarzi meri zindagani hai
sirf surat ka band nain 'naji'
aashiq-e-sahab-e-maani hai
Ghazal
Mah-ruKHan ki jo mehrbani hai
Naji Shakir