اردو हिंदी
Mah-ruKH jo gharon se kabhi bahar nikal aae | Shaahi Shayari
mah-ruKH jo gharon se kabhi bahar nikal aae

Ghazal

Mah-ruKH jo gharon se kabhi bahar nikal aae

Abbas Tabish

;

mah-ruKH jo gharon se kabhi bahar nikal aae
pas-manzar-e-shab se kai manzar nikal aae

tum apni zabanon se use chaTte rahna
kya jaaniye diwar mein kab dar nikal aae

kya un ko Duboe kisi dariya ki rawani
ye shahr to kuze ke samundar nikal aae

din bhar to rahe mahr-e-jahan-tab ki surat
jab raat paDi bhes badal kar nikal aae

aae hain agarche kai chehron se ulajh kar
lagta hai ki hum aankh bacha kar nikal aae

aawaz to do partaw-e-mahtab ko 'tabish'
mumkin hai wo talab se bahar nikal aae