اردو हिंदी
Mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai | Shaahi Shayari
mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

Ghazal

Mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

Qayyum Nazar

;

mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai
mandir mein masjid banti hai masjid mein barhaman rahta hai

zarre mein suraj aur suraj mein zarre raushan rahta hai
ab man mein sajan rahte hain aur sajan mein man rahta hai

rut bit chuki hai barkha ki aur prit ke mare rahte hain
rote hain rone walon ki aankhon mein sawan rahta hai

ek aah nishani jine ki rahti thi magar jab wo bhi nahin
kyun dukh ki mala japne ko ye tinka sa tan rahta hai

ai mujh par hansne aur kisi ko dekhne wale ye to kaho
yun kab tak jaan pe banti hai yun kab tak joban rahta hai

dil toD ke jaane wale sun do aur bhi rishte baqi hain
ek sans ki Dori aTki hai ek prem ka bandhan rahta hai