manus raushni hui mere makan se
wo jism jab nikal gaya resham ke than se
tum mein se kaun kaun mujhe ye bataega
utra hai kaun mere liye aasman se
tujh aankh se jhalakta tha ehsas-e-zindagi
main dekhta raha hun tujhe KHak-dan se

Ghazal
Manus raushni hui mere makan se
Rana Amir Liyaqat