اردو हिंदी
Mang lena sila to jaez hai | Shaahi Shayari
mang lena sila to jaez hai

Ghazal

Mang lena sila to jaez hai

Rakhshanda Naved

;

mang lena sila to jaez hai
mil gaya na mila to jaez hai

doston se shikayaten kaisi
doston se gila to jaez hai

hum se milna agar nahin mumkin
baat ka silsila to jaez hai

is ko isbaat mana jaega
bhul kar sar hila to jaez hai

kab hawa ka guzar hua dil se
phul phir bhi khila to jaez hai