mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam
basti mein bach gae the makan kam bahut hi kam
mere lahu ka zaiqa chakhta raha tha dard
tanhaiyan thin raat jahan kam bahut hi kam
kanTon ko sinchti rahi parchhaiyon ki fasl
jab dhup ka tha nam-o-nishan kam bahut hi kam
aangan mein dhup dhup ko oDhe udasiyan
ghar mein the zindagi ke nishan kam bahut hi kam
mafluj raat karb ke bistar pe leT kar
karti hai ab to aah-o-fughan kam bahut hi kam
kyun doston ki bhiD se ghabra na jae dil
dushman to rah gae hain yahan kam bahut hi kam
hum jab se pattharon ki tijarat mein lag gae
hai dosti-e-shisha-garan kam bahut hi kam
itni aziyaton se guzarne ke baad 'rind'
KHud par hai zindagi ka guman kam bahut hi kam
Ghazal
Mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam
P P Srivastava Rind