اردو हिंदी
Malum kuchh hua hi na dil ka asar kahin | Shaahi Shayari
malum kuchh hua hi na dil ka asar kahin

Ghazal

Malum kuchh hua hi na dil ka asar kahin

Qayem Chandpuri

;

malum kuchh hua hi na dil ka asar kahin
aisa gaya ki pher na pai KHabar kahin

aalam mein hain asir mohabbat ke har kahin
lekin sitam kisu pe nahin is qadar kahin

kholi thi chashm-did ko teri pa jun hubab
apne tain main aap na aaya nazar kahin

jun ghuncha fikr jama na kar Tuk tu gul ko dekh
qismat ki kho sake hai pareshani zar kahin

rahne do meri nash ko ho jae ta-ghubar
le jaegi uDa ke nasim-e-sahar kahin

masraf hai sab ye baalish-e-sayyaad ka tere
bismil na bhariyo KHun se tu baal-o-par kahin

roti hai kya gulon ko tu shabnam idhar to dekh
TukDe hai is tarah se kisi ka jigar kahin

karta tha kal gali mein wo apni KHiram-e-naz
is mein jo aa ke paDti hai mujh par nazar kahin

kahne laga ye dekh ke ahwal ko mere
bad-nam tu kisi ke tain yan na kar kahin

kya hattiya tujhe yahin deni hai ai aziz
itna paDa hai mulk-e-KHuda ja ke mar kahin

'qaem' ye faiz-e-sohbat-e-'sauda' hai warna main
tarhi ghazal se 'mir' ki aata tha bar kahin