mahaul tirgi ka muqaddar baDha gaya
ghar ka charagh ghar ke ujale ko kha gaya
dekha hai hum ne jalne lagi hain wo bastiyan
jin bastiyon se ho ke koi rahnuma gaya
insaniyat gharib bhaTakti hai dar-ba-dar
har shaKHs apne KHaul-e-ana mein sama gaya
hum ne pilaya KHun har ek inqalab ko
hum ko hi inqalab ka dushman kaha gaya
'rahbar' ye zindagi thi bahut mo'atabar magar
mera wajud mujh ko tamasha bana gaya

Ghazal
Mahaul tirgi ka muqaddar baDha gaya
Rahber Jaunpuri