mah-ru nikle hai nit ujli tarah
is sabab raushan hai dil putli tarah
sun mera rona hua Tuk mehrban
yar ne barsat mein badli tarah
ghamza ki shamshir chamkata hai wo
kyun na ho dil muztarib bijli tarah
machchhi deta nain mujhe wo bahr sun
chhoD di us ne magar agli tarah
kyun mere aage akaD chalta hai aaj
mujh ko bhuli nain teri pichhli tarah
sar-nigun hai sarw-qad ki fikr mein
bed ne majnun ki sab laili tarah
ishq ne aa kar pachhaDa dil katin
gurg nin aahu sin ki jangali tarah
mujh diwane ki nazar mein ai pari
tash aur kamKHab hai kamli tarah
gali de kar muskuraata hai wo shoKH
'mubtala' ab yun nai nikli tarah

Ghazal
Mah-ru nikle hai nit ujli tarah
Obaidullah Khan Mubtala