mah-e-nau parda-e-sahab mein hai
ya ki abru koi naqab mein hai
rangat us ruKH ki gul ne pai hai
aur pasine ki bu gulab mein hai
aaj saqi shikar khelega
bat-e-mai kansa-e-sharab mein hai
tul-e-roz-e-firaq kahta hai
hashr ka roz kis hisab mein hai
sharbat-e-qand ki si shirini
dahan-e-yar ke luab mein hai
shan se kuchh bigaD gai shayad
zulf-e-shab-rang pech-o-tab mein hai
ho 'saKHi' ko na fikr ya allah
arz itni teri janab mein hai
Ghazal
Mah-e-nau parda-e-sahab mein hai
Sakhi Lakhnvi