lubhata hai agarche husn-e-dariya Dar raha hun main
sabab ye hai ki ek muddat kinare par raha hun main
ye jhonke jin se dil mein tazgi aankhon mein ThanDak hai
inhi jhonkon se murjhaya hua shab bhar raha hun main
tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko
chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main
koi kamra hai jis ke taq mein ek shama jalti hai
andheri raat hai aur sans lete Dar raha hun main
mujhe malum hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai
samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main
Ghazal
Lubhata hai agarche husn-e-dariya Dar raha hun main
Ahmad Mushtaq