log patthar ke the fariyaad kahan tak karte
dil ke virane hum aabaad kahan tak karte
aaKHirash kar liya miTTi ke haram mein qayam
KHud ko hum KHanaman-barbaad kahan tak karte
ek zindan-e-mohabbat mein hue hum bhi asir
KHud ko har qaid se aazad kahan tak karte
KHud pe mauquf kiya us ka faqat dars-e-visal
har nae dars ko hum yaad kahan tak karte
kar liya ek bayaban ko musaKHKHar hum ne
roz taswir ko ijad kahan tak karte
log KHamosh the isbaat o nafi ke mabain
aise mahaul mein irshad kahan tak karte
har wajud apne liye ek sawali tha 'taraaz'
KHud ko hum mail-e-abaad kahan tak karte
Ghazal
Log patthar ke the fariyaad kahan tak karte
Rashid Taraz