likh raha hun harf-e-haq harf-e-wafa kis ke liye
mangta hun zinda rahne ki dua kis ke liye
phul hain sab ek gulshan ke to phir taKHsis kyun
sehn-e-gulshan mein ye zahrili hawa kis ke liye
main to nakaam-e-mohabbat hun chalo ruswa hua
tu bata hai tera paiman-e-wafa kis ke liye
main to ek KHwahish ki bhi takmil par qadir nahin
ye shikoh-e-KHusrwana ye ana kis ke liye
mujh ko KHush-fahmi nahin hai ai hawa phir bhi bata
muztarib hai wo taghaful-ashna kis ke liye
kho chuka hai us ko jab tu KHud hi ai 'sultan-rashk'
ab dhaDakta hai dil-e-be-muddaa kis ke liye

Ghazal
Likh raha hun harf-e-haq harf-e-wafa kis ke liye
Sultan Rashk