lazzat-e-lams mar na jae kahin
phir ye dariya utar na jae kahin
tujh ko dekha to dekhta hi raha
ab ye ziddi nazar na jae kahin
jang jari hai rishte-naton mein
sab asasa bikhar na jae kahin
KHun mein tar-ba-tar qabile hain
khel had se guzar na jae kahin
maut par e'tibar hai apna
wo bhi ab ki mukar na jae kahin
hath sine pe mere rahne de
dil ki dhaDkan Thahar na jae kahin
rose jaane ki baaten karta hai
yar 'faruq' par na jae kahin

Ghazal
Lazzat-e-lams mar na jae kahin
Farooq rahman