اردو हिंदी
Lams-o-yaqin apna kahan pesh-o-pas mein tha | Shaahi Shayari
lams-o-yaqin apna kahan pesh-o-pas mein tha

Ghazal

Lams-o-yaqin apna kahan pesh-o-pas mein tha

Amir Nazar

;

lams-o-yaqin apna kahan pesh-o-pas mein tha
to phir ye kaisa josh sada-e-jaras mein tha

zarron ke intishaar ne mashkuk kar diya
yun uqda-e-wajud bhi mizan-e-KHas mein tha

tha jism ibtida se aziyyat ki qaid mein
kyun ghaza-e-KHyal munawwar qafas mein tha

sakit zamin ke jism pe hangama-e-sada
yun lashkar-e-hayat rawan be-nafas mein tha

qirtas-e-zat par tere 'amir' jo khil uTha
wo nuqta-e-uruj kahan tere bas mein tha