lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna
aatish-e-be-rang mein KHud ko pighalte dekhna
ishq mein ye faisla hai is dil-e-saudai ka
KHud ko girte dekhna us ko sambhalte dekhna
iztirab-e-dard mein had se guzar jaana nahin
husn-e-sham-e-arzu ka rup Dhalte dekhna
umr-e-be-andaz ko kafi sahaara ho gaya
KHwab-e-KHush-andaz us ke sath chalte dekhna
reg-e-be-tadbir mein parwaz mahw-e-KHwab hai
ek hawa-e-tez mein us ko machalte dekhna
aasman ai aasman kya meri qismat mein nahin
us nigah mein KHwahishon ki aag jalte dekhna
Ghazal
Lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna
Tanveer Anjum