laja laja ke sitaron se mang bharti hai
urus-e-sham ye kis ke liye sanwarti hai
wo apni shoKHi-e-raftar-e-naz mein gum hai
use KHabar hi kahan kis pe kya guzarti hai
jawab us ke sawalon ka de koi kab tak
ye zindagi to musalsal sawal karti hai
us aarzu ne hamein bhi kiya asir apna
wo aarzu jo sada dil mein ghuT ke marti hai
ab aa gae ho to Thahro KHaraba-e-dil mein
ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai
ye chhaTne wale hain baadal jo kale kale hain
isi faza mein wo raushan dhanak nikharti hai
koi paDaw nahin is safar mein ai 'maKHmur'
jo chal paDe to hawa phir kahan Thaharti hai
Ghazal
Laja laja ke sitaron se mang bharti hai
Makhmoor Saeedi