laD jate hain saron pe machalti qaza se bhi
Darte nahin charagh hamare hawa se bhi
barson rahe hain raqs-kunan jis zamin par
pahchanti nahin hamein aawaz-e-pa se bhi
ab is ko iltifat kahun main ki be-ruKHi
kuchh kuchh hain mehrban se bhi kuchh kuchh KHafa se bhi
chhup kar na rah sakega wo hum se ki us ko hum
pahchan lenge us ki kisi ek ada se bhi
dil kanp kanp uThta hai azm-e-gunah par
mil jati hai saza hamein pahle KHata se bhi
aksar hua hai ye ki KHud apni talash mein
aage nikal gae hain had-e-ma-siwa se bhi
Ghazal
LaD jate hain saron pe machalti qaza se bhi
Umar Ansari