اردو हिंदी
Labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya | Shaahi Shayari
labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya

Ghazal

Labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya

Yazdani Jalandhari

;

labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya
fasana dard ka al-muKHtasar kaha na gaya

harim-e-naz mein kya baat thi jo raaz rahi
wo harf kya tha jo bar-e-digar kaha na gaya

ye hadsa bhi ajab hai ki tere gham ke siwa
kisi bhi gham ko gham-e-mo'tabar kaha na gaya

nafas nafas mein tha ehsas-e-KHana-virani
KHaraba-e-gham-e-hasti ko ghar kaha na gaya

talash karta hun ima-e-iltifat abhi
wo kya nazar thi ki jis ko nazar kaha na gaya

junun ne fikr-o-nazar ko wo rifaten baKHshin
KHirad ko hum se kabhi dida-war kaha na gaya

na koi shor na ghaugha na haw-hu na KHarosh
KHizan ko mausam-e-derina-gar kaha na gaya

dil iztirab-e-guzarish ka mahsharistan tha
kisi ke samne kuchh bhi magar kaha na gaya