lab-o-ruKHsar o jabin se miliye
ji nahin bharta kahin se miliye
yun na is dil ke makin se miliye
aasman ban ke zamin se miliye
ghuT ke rah jati hai ruswai tak
kya kisi parda-nashin se miliye
kyun haram mein ye KHayal aata hai
ab kisi dushman-e-din se miliye
ji na bahle ram-e-ahu se to phir
taer-e-sidra-nashin se miliye
bujh gaya dil to KHarabi hui hai
phir kisi shola-jabin se miliye
wo koi hakim-e-dauran to nahin
mat Daren un ki nahin se miliye
Ghazal
Lab-o-ruKHsar o jabin se miliye
Ibn-e-Safi