lab-e-KHamosh mein pinhan hai koi raaz nahin
zindagi saz hai jis mein koi aawaz nahin
kyun na aaghosh-e-taKHaiyul mein main uDta hi rahun
dar-haqiqat hai mujhe KHwahish-e-parwaz nahin
mere kirdar mein hai neki badi par bhaari
kyun wo kar pae badi ko nazar-andaz nahin
ye talluq jo kiya qata hua qissa tamam
ye nai dastan ka nuqta-e-aghaz nahin
ru-ba-ru aaine ke jaun to dikhta hai mujhe
ajnabi shaKHs jo ham-shakl-o-ham-awaz nahin
hun to hargiz nahin paband-e-qawaed 'naqid'
apni aawargi pe mujh ko magar naz nahin
Ghazal
Lab-e-KHamosh mein pinhan hai koi raaz nahin
Aditya Pant u0027Naaqidu0027