lab-e-jaan-baKHsh par jo nala hai
ab masiha bhi marne wala hai
KHun thuka mudam surat-e-zaKHm
dil-e-nasur ab tak aala hai
ro raha hun misl-e-abr-e-bahaar
dongDa meinh ka hai na jhaala hai
wo bala-nosh-e-ranj-o-mehnat hun
gham-e-kaunain ek niwala hai
har qadam par hain saikDon pamal
sarkashon ka chalan nirala hai
har mizha par rawan hain kudak-e-ashk
nai sawaron ka yar sala hai
ashk-e-KHun ruh par hain misl-e-shafaq
rang kis shoKH ne uchhaala hai
fard-e-amal nek-karan 'shad'
qasr-e-firdaus ka qabaala hai
Ghazal
Lab-e-jaan-baKHsh par jo nala hai
Shad Lakhnavi