اردو हिंदी
Lab-e-jaan-baKHsh ke miThe ka tere jo maza paya | Shaahi Shayari
lab-e-jaan-baKHsh ke miThe ka tere jo maza paya

Ghazal

Lab-e-jaan-baKHsh ke miThe ka tere jo maza paya

Baqar Agah Vellori

;

lab-e-jaan-baKHsh ke miThe ka tere jo maza paya
to chashma zindagi ka apni labrez-e-baqa paya

na hoe kyun ba-sad jaan dil mera maftun tera jaanan
ki har jalwe mein tere yak karishma main juda paya

do-baala kyun na ho nashsha dil-e-hairan ki hairat ka
jo tujh ko sab mein aur tere mein sab ko barmala paya

teri ek gadish-e-mizgan se yun be-tab-o-taqat hun
na kah sakta hun kuchh gar koi puchhe tu ne kya paya

na duniya us mein rah pawe na uqba us ko phailawe
dil-e-'agah' ke kausar mein jin ne inziwa paya