lab-e-dariya jo pyase mar gae hain
junun ka nam raushan kar gae hain
husaini qafila jab yaad aaya
kaTore aansuon se bhar gae hain
jinhen suraj ne bhi dekha na hoga
wo nange panw nange sar gae hain
wo kab ke ja base us par lekin
kai yaaden yahan bhi dhar gae hain
jinhen tha shauq mela dekhne ka
wo sare log apne ghar gae hain
hamare ahd ka ye alamiya hai
ujale tirgi se Dar gae hain
tu un ko DhunDhta phirta hai 'hasrat'
jo duniya se kinara kar gae hain
Ghazal
Lab-e-dariya jo pyase mar gae hain
Ajeet Singh Hasrat