lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani
apni zamin wale KHuda se nahin bani
KHushiyon ke sath rah na sake ek pal kabhi
yani charaghiyon ki hawa se nahin bani
sunne ki had talak use ek bar kya suna
kanon ki phir kisi bhi sada se nahin bani
apni ana ki ret pe apne usul pe
pala wo dard jis ki dawa se nahin bani
hum ne isi zamin pe 'fani' khilae phul
muddat se jis zamin ki ghaTa se nahin bani
Ghazal
Lalach se aur jaur-o-jafa se nahin bani
Fani Jodhpuri