اردو हिंदी
Lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah | Shaahi Shayari
lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah

Ghazal

Lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah

Mohan Javidani

;

lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah
dil ke gulshan mein wo aae hain bahaaron ki tarah

har ghaDi ek naya rang naya aalam hai
zindagi hai teri aankhon ke ishaaron ki tarah

zindagi phir kisi tufan se uljhegi zarur
honT KHamosh hain dariya ke kinaron ki tarah

kitni pur-nur hui jati hai ab manzil-e-shauq
naqsh-e-pa un ke chamakte hain sitaron ki tarah

shoala-e-ishq ka bujhna nahin aasan 'mohan'
ashk aankhon se Dhalakte hain shararon ki tarah