اردو हिंदी
Lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri | Shaahi Shayari
lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri

Ghazal

Lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri

Mardan Safi

;

lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri
dil hai qabu mein mera ab na tabiat meri

aa ke pahlu mein mere baiTh main ho jaun nisar
hai tamanna to yahi hai yahi hasrat meri

dam-e-aKHir tu mere pas bhala aa be-dard
teri furqat mein koi dam mein hai ruKHsat meri

qabr par meri agar fatiha paDhne ke liye
wo jo aa jaen to tharra uThe turbat meri

tum ko dekha karun har waqt sarapa hun fana
karti rah rah ke taqaza hai ye haalat meri

zinda dargor hun lekin mujhe zinda na samajh
ek muddat jo yahi rah gai haalat meri

kushta-e-naz hun jin ka hai unhin ka kaunain
sarwat-e-jam se uThegi wo hai mayyat meri

baad-e-murdan bhi main bimar-e-mohabbat hi rahun
ta-qayamat na ho yarab kabhi sehat meri

hech duniya hai zar-o-mal hai sab hech magar
ek mohabbat teri 'mardan' hai ye daulat meri